Friday 17 January 2020

Top 5 Photo editing apps for android 2020| Best photo editing apps for android

5 BEST PHOTO EDITING APPS OF ALL TIME


Hey guys welcome back to SR CREATIONS and guys aajke is new post me ham baat karenge 5 best photo editing apps jo ki hamesha best result dete aarhe hain so guys in top 5 best editing ke list me ham jo use karte hain un apps se bhi maine liya hai jo ki ham editors ke liye ekdam sahi hai aur iska use ham hamesha photo editing me karte hain jaise ki sabse best and easy to use hamara picsart photo studio jo ki hamesha ke liye hi best result dene me aage rahta hai lekin iske bhi kuch khamiya hai and guys duniya me aisa koi chij nahi hota jisme koi khamiya na ho aur agar baat kiya jaye picsart applicaion ki to isme itne features hame milta hai jo bahut kaam ke hain usme se agar kuch khamiya hoti hai to koi problem nahi guys to ham iske features and easy tools ko dekhte huye ise android photoshop keh sakte hain, So guys chaliye dekhte hain hamare top 5 apps for best photo editing.



Dosto sabse pehle number pe hamara jo photo editing app aata hai wo hai



1. Toolwiz Photos - Pro Editor

     Guys Toolwiz photos pro editor ka name agar aap pehle baar sun rahe hai ya phir aapne iska name to suna tha lekin iska use abtak nahi kiya hai to aap ek bahut hi shandar photo editing app ko miss kiye ho guys iske filters and features ke baare me aapko aage bataunga usse pehle aapko iske kuch khaas features ke baare me bata deta hu jo ki aapke photo editing me face ke liye main hai to guys iska facetune feature kaafi hatke hai and awesome feature hai jiska use karke aap apne image se face me pimples and face ko white aur clean kar sakte hain and ye sab automatically hoga sirf one tap me so guys iske aur bhi kuch features hain. Ye app free to download hai jisme kuch in-app purchases hai.



FEATURES


  • Large collection of art filters & magic filters
  • Free online resource like 200+fonts,lens flairs,2000+stickers etc..
  • Face swap filters autotune and beauty features
  • Drawing
  • Red eyes removel etc..

2. Pollar Photo Editor

      Friends agar aap chahte hain ki aapke image me background blur ho like dslr aur wo bhi realisti to aap is app ka use karke bilkul real dslr jaise effect ya blur apne image me add kar sakte ho aur isme aise bahut se features hain jisko mai aapko bataunga lekin iske kuch aweosme features ki baat kar lete hain jo ki hain isme aapko apne image me face clean ke liye auto face detection milta hai iske alava custom overlay and double exposure aap isme kar sakte hain selective area ko aap bright and dark ya light adjust and jo isme feature hain unka use kar sakte ho isme weather se related aapko pngs mil jayenge app me hi and art create kar sakte hai aur apne khud ka filter create karke aap usko apne friends ya social pages me share kar sakte ho so guys ye to hogye khaas features aage aur dekh lete hain. Ye app free to download hai jisme kuch in-app purchases hai.



FEATURES


  • Layer and blending mode mix two or more images
  • Local adjustments include mask and adjust
  • Global adjustments include color,light,vintage etc...
  • Customize your own filters
  • 3. Photo Director Photo editor 2019


      Dosto photo director photo editor 2019 ki baat ki jaye dusre apps ke muqabale to ye kuch alag hai jisme dusre android apps jaise  features to hain lekin iske features kuch professional type se kaam kate hai jisme aapko apne pic me high adjustnebt filters and features add karne ko milenge kyuki guys ye app CyberLink company ne banaya hai jo ki kaafi naami company hai jiske computer softwares bhi hain and video editors se leke photo editors hai jaisa ki ham read kar rahe hai photo director ke baare me chliye kuch feature ki baat karte hain to jaise ka aapko pata hai sabhi android photo editors me collage maker hota hai and isme bhi hai lekin kuch alag hai jo aap iska use karoge to aapko pata chal jayega so dusre features ki baat ki jaye to isme auto brightness and contrast adjustment hai and saturation adjustment diya gaya hai sabse khas baat is app ki hai isme aapko sabhi features ke saath saath content aware tool bhi mil jayega jisko ham is app me content removel tool ke name se jan sakte hai and isme face clean ka bhi option hai so iske features ki list dekhte hain. Ye app free to download hai jisme kuch in-app purchases hai.



FEATURES


  • Pic Editor Tools
  • Photography With Live Effects
  • Crop out objects
  • Photo effects, HDR & layer ediing

4. Picsart Photo Studio Editor

     Friends ab picsart ke baare me kya batau aapko yaar sabhi android photo editors app ka use karte hai and iske saare features filters ki jankari lagbhag mere sabhi editor bhaiyon ko hoga jo iska use karke apna image edit karte honge lekin phirbhi agar baat aati hai top editing apps ki android me to hamara sabse jyda use kiya jaane wala app picsart photo studio kabhi piche nahi hat sakta to chaliye iske baare me bhi kuch baat karte hai iske features kis tarah se sabhi photo editing apps ke muqabale kaam karte hain and koun koun se pro feature hain so sabse pehle baat ki jaye iske tools option ki jisme aapko kaafi saare adjustment tools dekhne ko mil jayenge jisme sabhi tools kaam ke hain isme crop,stamp,stretch,curve,adjustment,tiltshift jaise aur bhi mil jayenge jisme se maine kuch khas tools ke baare me bataya aur isme aapko tool baar me cut out tool milega jiski help se aap apne image ka background kuch hi seconds me erase kar sakte hain and stickers,lens flairs,draw,filters me aapko blur,colorize jaise pro tools dekhne ko mil jayenge chaliye iske features ko dekhllete hain category wise. Ye app free to download hai jisme kuch in-app purchases hai.



FEATURES


  • Adjustment tools
  • Filters with online resources
  • Draw tool
  • Cut out tool 
  • Font and Stickers
  • Editors platform share own creation

5. ADOBE LIGHTROOM MOBILE

      Lightroom mobile kaafi trending me hai jisse sabhi mere editor bhai jaante honge ki 2019 me trend sabse jyda photo retouching and social media me lightroom editing hi faila hua hai jisse ki iske users kaafi jyda ho chuke hain, waise to ye kaafi old and famous company adobe ka hai jisko bade bade editors film makers use karte hain isme movie makers software hain aur adobe photoshop to sab use karte hain mai bhi apne laptop ya pc me isi ka use karte huye aapke liye new backgrounds banata hu so guys ham sab is app ko acchi tarike se jaante hai fibhi mai aapko iske features ke baare me bataunga jaise ki iske kuch khas features hai jisse ki adobe lightroom mobile ka ek alag hi jagah hai hamare android photo ediing ke platform me so guys sabse pehla to isme aap apne photo ko open karte hai and iske filters ka use karke apne image ko save ya export karte hain to aapke photo ka qualiy ya resolution me girawat ya quality low nahi hota hai chahe badh jata hai lekin kam nahi hota and iske kuch awesome filters ke kaaran ye sabhi apps ka baap hai jaise ki iske preset copy paste tool aapko kisi app me nahi milega isme aap kisi dusre ke save kiye huye filters ko apne photo me paste karoge and aapko apne image ko kuch karne ki jarurat nahi hogi and retouching ke liye bhi is app ko koi piche nahi kar sakta hai jaise color enhancements se aap apne photo ko jo chaho wo colour look de skate ho aise hi apne image me clarity lane ke liye iske tool cleaity ka use karke photo clear ho jata hai and nose reduction tool,vintage tool, content remove and selective tool jaise feature bhi iske kaafi laajwab hain so guys cahliye dekhte hai iske features ko category wise. Ye app free to download hai jisme kuch in-app purchases hai.



FEATURES


  • Presets- make dramatic in a single click
  • Color mixer
  • Interactive turorials
  • Selective tools- In Premium
  • Healing brush
  • Raw editing
  • Geometry
  • Advance sharing

Guys is post me maine jo bhi apps bataye hain inka use aap jaur karna jisse ki aapko photo editing me alag experience ho and aapko new android ke photo editing apps ka knowledge ho..

TO AGAR AAPKO YE LIST PASAND AAYA TO MUJHE FOLLOW JARUR KARNA

No comments:

Post a Comment